Dekho Maine Dekha Hai Ye Ek Sapna | Amit Kumar, Lata Mangeshkar - AMIT KUMAR, LATA MANGESHKAR Lyrics
Singer | AMIT KUMAR, LATA MANGESHKAR |
Music | R.D. BURMAN |
Song Writer | ANAND BAKSHI |
Male: Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Male: Main aaya aaya aaya aaya
Female: Aaja
Male: Yahan tera mera naam likha hai.....
Female: Rasta nahin yeh aam likha hai.......
Male: O, yeh hai darwaaza jahan tu khadi hai
Female: Andar aa jaao, sardi badi hai
Male: Yahan se nazaara dekho parbaton ka
Female: Jhaankoon main kahan se, kahan hai jharoka
Male: Yeh yahan hai, tu kahan hai
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Male: Main aaya aaya aaya aaya
Female: Aaja
Female: Achha yeh bataao, kahan pe hai paani
Male: Baahar beh raha hai jharna, deewani
Female: Bijli nahin hai, yehi ek gham hai
Male: Teri bindiya kya bijli se kam hai
Female: Chhodo, mat chhedo, baazaar jaa...o
Male: Jaata hoon jaaoonga, pehle yahan aao
Shaam jawaan hai, tu kahan hai
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Kaisi pyaari hai yeh chhoti si rasoi.......
Male: ho, hum dono hai bas duja nahin koi
Female: Is kamre mein hongi meethi baatein
Male: Us kamre mein guzrengi raatein
Female: Yeh to bolo hogi kahan pe ladaai
Male: Maine voh jaga hi nahin banaayi
Pyaar yahan hai, tu kahan hai......
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Kitna haseen hai yeh ek sapna
Male: Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Female: Kya sama hai
Male: Tu kahan hai
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
Female: Main aayi aayi aayi aayi
Male: Aaja
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box.
Emoji