Tujhe Dekha Toh Yeh Jana Sanam Lyrics from Dilwale Dulhaniya Le Jayenge - Kumar Sanu, Lata Mangeshkar Lyrics

Singer Kumar Sanu, Lata Mangeshkar
Music Jatin-Lalit
Song Writer Anand Bakshi

ku: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
koras: aa...

ku: (tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam) -2
ab yahaan se kahaan jaaein ham
terii baahon mein mar jaaein ham
la: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
ab yahaan se kahaan jaaein ham
terii baahon mein mar jaaein ham
ku: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
koras: aa...

La la la la la, la la la........................

la: aankhen merii, sapane tere
dil meraa, yaadein terii
ku: meraa hai kyaa, sab kuchh teraa
jaan terii, saansein terii
la: merii aankhon mein aansuu tere aa gae
muskuraane lage saare Gam
ku: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
la: ab yahaan se kahaan jaaein ham
terii baahon mein mar jaaein ham
ku: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam

la: ye dil kahiin, lagataa nahiin
kyaa kahuun, main kyaa karuun
ku: haan, tuu saamane, baithii rahe
main tujhe dekhaa karuun
la: tuu ne aavaaz dii dekh main aa gaii
pyaar se hai baDii kyaa kasam

ku: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
la: tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
ku: ab yahaan se kahaan jaaein ham
terii baahon mein mar jaaen ham
koras: aa...

la: terii baahon mein mar jaaen ham
koras: aa...