Jaane kyun log pyaar karte hain - Udit Narayan, Alka Yagnik Lyrics

Singer Udit Narayan, Alka Yagnik
Music Shanker, Ehsaan, Loy
Song Writer Javed Akhtar

Male------
Jaane kyun log pyaar karte hain
Jaane kyun voh kisi pe marte hain –----------- 2
Jaane kyun, jaane kyun
Jaane kyun, jaane kyun, jaane kyun…

Pyaar mein, sochiye toh bas gham hai
Pyaar mein, jo sitam bhi ho kam hai
Pyaar mein, sar jhukaana padta hai
Dard mein, muskuraana padta hai
Zaher kyun zindagi mein bharte hain
Jaane kyun log pyaar karte hain
Jaane kyun, jaane kyun
Jaane kyun, jaane kyun, jaane kyun…

Female------------
Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin vo, tanha hai – ------------2
Pyaar sau rang leke aata hai
Pyaar he zindagi sajaata hai
Log chup chup ke pyaar karte hain
Jaane kyun saaf kehte darte hain
Jaane kyun, jaane kyun
Ho jaane kyun, jaane kyun, jaane kyun…

Male: Pyaar bekaar ki musibat hai…

Female: Pyaar har tarah khoobsurat hai…

Male: Oh, pyaar se ham dur he ache…

Female: Arey pyaar ke sab roop hai sachche…

Male------------
Ooo, pyaar ke ghaat jo utarte hai
Doobte hai na voh ubharte hai
Jaane kyun, jaane kyun…

Female---------
Pyaar toh khair sabhi karte hain
Jaane kyun aap he mukharte hain
Jaane kyun........, jaane kyun…

Male----
Jaane kyun, jaane kyun, jaane kyun...