Huzur is Kadar Bhi Na Itra Ke Chaliye - Bhupinder Singh, Suresh Wadkar Lyrics

Singer Bhupinder Singh, Suresh Wadkar
Music R D Burman
Song Writer Gulzar

Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

Koyi manchala gar pakad lega aanchal
Haan koyi manchala gar pakad lega aanchal
Zara sochiye aap kya keejiyega
Laga de agar badh ke zulfon mein kaliyan
Laga de agar badh ke zulfon mein kaliyan
To kya apni zulfein jhatak deejiyega

Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

Badi dil-nashin hain hansi ki ye ladiyan
Badi dil-nashin hain hansi ki ye ladiyan
Yeh moti magar yoon na bikhraya keeije
Uda ke na le jaaye jhonka hawa ka
Uda ke na le jaaye jhonka hawa ka
Lachakta badan yoon na lehraya keeje

Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

Bahut khoobsurat hai har baat lekin
Bahut khoobsurat hai har baat lekin
Agar dil bhi hota to kya baat hoti
Likhi jaati phir dastan-e-mohabbat
Likhi jaati phir dastan-e-mohabbat
Ik afsane jaisi mulakaat hoti

Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
Khule aam aanchal na lehra ke chaliye
Huzur is kadar bhi na itra ke chaliye