Chehra Hai Ya Chand Khila Hai Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya - Kishore Kumar Lyrics

Singer Kishore Kumar
Music R.D.Burman
Song Writer Javed Akhtar

Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa ------------2

Are, Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil
Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai
Kaise Kaise Khwaab Ye Dil

Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To
Jaata Lamha Tham Jaaye
Waqt Ka Dariya Behte Behte
Is Manzar Mein Jam Jaaye
Toone Deewana Dil To Banaaya
Is Dil Par Ilzaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi
Tera Saath Nahin Paaun To
Khair Tera Armaan Sahi

Ho, Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho
Khamoshi Ke Mele Hon
Is Duniya Mein Koi Nahin Ho
Hum Dono Hi Akele Hon
Tere Sapne Dekh Raha Hoon
Aur Mera Ab Kaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya....

Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa